اردو हिंदी
Is se pahle ki zamin-zad shararat kar jaen | Shaahi Shayari
is se pahle ki zamin-zad shararat kar jaen

Ghazal

Is se pahle ki zamin-zad shararat kar jaen

Idris Babar

;

is se pahle ki zamin-zad shararat kar jaen
hum sitaron ne ye socha hai ki hijrat kar jaen

daulat-e-KHwab hamare jo kisi kaam na aai
ab kisi ko nahin milne ki wasiyyat kar jaen

dahr se hum yunhi be-kar chale jate the
phir ye socha ki chalo ek mohabbat kar jaen

ek zara waqt mayassar ho to aa kar mere dost
dil mein khilte hue phulon ko nasihat kar jaen

un hawa-KHwahon se kahna ki zara sham Dhale
aaen aur bazm-e-charaghan ki sadarat kar jaen

dil ki ek ek KHarabi ka sabab jaante hain
phir bhi mumkin hai ki hum tum se murawwat kar jaen

shahr ke baad to sahra tha miyan KHair hui
dasht ke par bhala kya hai ki wahshat kar jaen

reg-e-dil mein kai nadida parinde bhi hain dafn
sochte honge ki dariya ki ziyarat kar jaen