اردو हिंदी
Isko surat ko dekh kar bhule | Shaahi Shayari
isko surat ko dekh kar bhule

Ghazal

Isko surat ko dekh kar bhule

Mirza Azfari

;

is ki surat ko dekh kar bhule
hae hum bhule sar-ba-sar bhule

munh ka miTha tha peT ka khoTa
jhuTi miThi si baat par bhule

dekho is meri yaad ko aur wo
mujh pe karta nahin nazar bhule

us ke ushshaq ho gae wahshi
sab ye KHana-KHarab ghar bhule

jab faramosh o yaad bhi khele
ek idhar hum tum ek udhar bhule

hum faramosh ki faramoshi
aur tum yaad umr bhar bhule

bhule-bhaTke se yan tum aa nikle
nashshe mein rah kuchh magar bhule

naKHl-e-ah ek chhuT na phulega
is ko phalta nahin samar bhule

'azfari' zor kha gae dhoka
is ke zahir pe tum aphar bhule