irtikab-e-jurm shar ki baat hai
aur bari hona hunar ki baat hai
ek kahani hai ki sadiyon par muhit
sochne mein dopahar ki baat hai
aae Thahre aur rawana ho gae
zindagi kya hai, safar ki baat hai
ek shoala sa lapak kar rah gaya
ye hayat-e-muKHtasar ki baat hai
naseha gar ho sake manzil pe mil
zindagi to rah-guzar ki baat hai
shadi-o-gham par karen kya tabsira
tere mere sab ke ghar ki baat hai
raste to hain magar manzil nahin
kya hamare rahbar ki baat hai
ab to dukanon pe bikti hai wafa
dosto ifraat-e-zar ki baat hai
baal-o-par hote to kyun hote asir
qaid mein kyun baal-o-par ki baat hai
mutmain koi nahin haalat se
sham ke lab par sahar ki baat hai
har qawi ko hai wahan jaane ka haq
dasht ki aur bahr-o-bar ki baat hai
murdani zail ho ya baqi rahe
ye tere husn-e-nazar ki baat hai
Ghazal
Irtikab-e-jurm shar ki baat hai
Haidar Ali Jafri