اردو हिंदी
In aankhon ki masti ke mastane hazaron hain | Shaahi Shayari
in aankhon ki masti ke mastane hazaron hain

Ghazal

In aankhon ki masti ke mastane hazaron hain

Shahryar

;

in aankhon ki masti ke mastane hazaron hain
in aankhon se wabasta afsane hazaron hain

ek tum hi nahin tanha ulfat mein meri ruswa
is shahr mein tum jaise diwane hazaron hain

ek sirf hamin mai ko aankhon se pilate hain
kahne ko to duniya mein mai-KHane hazaron hain

is sham-e-farozan ko aandhi se Daraate ho
is sham-e-farozan ke parwane hazaron hain