اردو हिंदी
Ek sanp mujhko chum ke tiryaq de gaya | Shaahi Shayari
ek sanp mujhko chum ke tiryaq de gaya

Ghazal

Ek sanp mujhko chum ke tiryaq de gaya

Kaif Ahmed Siddiqui

;

ek sanp mujh ko chum ke tiryaq de gaya
lekin wo apne sath mera zahr le gaya

akasr badan ki qaid se aazad ho ke bhi
apna hi aks dur se main dekhne gaya

duniya ka har libas pahanna paDa use
ek shaKHs jab nikal ke mere jism se gaya

aisi jagah ki maut bhi Dar jae dekh kar
main KHud ko zindagi se bahut dur le gaya

mahsus ho raha hai ki main KHud safar mein hun
jis din se rail par main tujhe chhoDne gaya

kitni subuk si aaj mere ghar ki sham thi
main filon ka bojh uThae hue gaya

ashaar ka nuzul hai KHali dimagh mein
ai 'kaif' tu na jaane kahan chhoDne gaya