اردو हिंदी
Ek muntazir-e-wada ki shama jali hogi | Shaahi Shayari
ek muntazir-e-wada ki shama jali hogi

Ghazal

Ek muntazir-e-wada ki shama jali hogi

Aleem Masroor

;

ek muntazir-e-wada ki shama jali hogi
suraj ke nikalne se kya raat Dhali hogi

batlaen Thikana kya chhuTe hue gulshan mein
guzroge to dekhoge ek shaKH jali hogi

bas ek tamanna ho jis ke dil-e-viran mein
socho to zara kitne nazon ki pali hogi

nikle teri mahfil se to sath na tha koi
shayad meri ruswai kuchh dur chali hogi

kal raat jo main guzra ek nur ka taDka tha
'masrur' batao to wo kis ki gali hogi