hasin KHwab na de ab yaqin-e-sada de
mere wajud ko ya rab naya labaada de
gham-e-hayat ko phaila de aasmanon tak
dil-e-tabah ko wusat bhi kuchh ziyaada de
mujhe qarar na de tu pas-e-ghubar-e-nafas
main shah-sawar hun maidan bhi kushada de
na chhin mujh se mera zauq-e-KHud-nawardi bhi
mere qadam ko bhi manzil na de irada de
mere rafiqon ko de hausla ki sang uThaen
mere KHulus ko har sang-e-sad-ifada de
mere harifon ke dam-KHam mein ho kami to unhen
mere ghurur se taufiq-e-istifada de
chamak de chand ko ThanDak hawa ko dil ko umang
udas qisse ko phir ek shahzada de
ki meri zat bhi jis mein dhuan dhuan ho jae
kabhi kabhi mujhe wo sajda be-irada de
utar de meri rag rag mein phir se sabz lahu
sukut-e-dasht ko phir shorish-e-iada de
Ghazal
Hasin KHwab na de ab yaqin-e-sada de
Abdullah Kamal