اردو हिंदी
Har qadam par mere armanon ka KHun | Shaahi Shayari
har qadam par mere armanon ka KHun

Ghazal

Har qadam par mere armanon ka KHun

Ahmad Ziya

;

har qadam par mere armanon ka KHun
zindagi tera kahan tak sath dun

aandhiyon ki zad mein hai mera wajud
aur main diwar ki taswir hun

kaun ho tum aur kahan se aae ho
sochta hun apne sae se kahun

rang ki duniya se main ukta gaya
phul-rut mein zahr pi kar so rahun

chahta hun tum ko KHushbu ki tarah
ab ki main aawaz hi aawaz hun

ab koi mera nahin mere siwa
aaj apne-ap dil ko toD lun

main ki paighambar nahin 'ahmad-ziya'
kaun sa paigham is duniya ko dun