اردو हिंदी
Har chiz se mawara KHuda hai | Shaahi Shayari
har chiz se mawara KHuda hai

Ghazal

Har chiz se mawara KHuda hai

Rasa Chughtai

;

har chiz se mawara KHuda hai
duniya ka ajib silsila hai

kya aae nazar ki raston mein
sadiyon ka ghubar uD raha hai

jitni ki qarib-tar hai duniya
utna hi tawil fasla hai

alfaz mein band hain maani
unwan-e-kitab-e-dil khula hai

kanTon mein gulab khil rahe hain
zehnon mein alao jal raha hai