hum ne khulne na diya be-sar-o-samani ko
kahan le jaen magar shahr ki virani ko
sirf guftar se zaKHmon ka rafu chahte hain
ye siyasat hai to phir kya kahin nadani ko
koi taqsim nai kar ke chala jata hai
jo bhi aata hai mere ghar ki nigahbani ko
ab kahan jaun ki ghar mein bhi hun dushman apna
aur bahar mera dushman hai nigahbani ko
be-hisi wo hai ki karta nahin insan mahsus
apni hi ruh mein aai hui tughyani ko
aaj bhi us ko faraaz aaj bhi aali hai wahi
wahi sajda jo kare waqt ki sultani ko
aaj yusuf pe agar waqt ye lae ho to kya
kal tumhin taKHt bhi doge isi zindani ko
subh khalne ki ho ya sham bikhar jaane ki
hum ne KHushbu hi kiya apni pareshani ko
wo bhi har-an naya meri mohabbat bhi nai
jalwa-e-husn kashish hai meri hairani ko
kuza-e-harf mein laya hun tumhaari KHatir
ruh par utre hue ek ajab pani ko
Ghazal
Humne khulne na diya be-sar-o-samani ko
Obaidullah Aleem