اردو हिंदी
Hath se napta hun dard ki gahrai ko | Shaahi Shayari
hath se napta hun dard ki gahrai ko

Ghazal

Hath se napta hun dard ki gahrai ko

Ahmad Mushtaq

;

hath se napta hun dard ki gahrai ko
ye naya khel mila hai meri tanhai ko

tha jo sine mein charagh-e-dil-pur-KHun na raha
chaTiye baiTh ke ab sabr o shakebai ko

dil-e-afsurda kisi tarah bahalta hi nahin
kya karen aap ki is hausla-afzai ko

KHair badnam to pahle bhi bahut the lekin
tujh se milna tha ki par lag gae ruswai ko

nigah-e-naz na milte hue ghabra hum se
hum mohabbat nahin kahne ke shanasai ko

dil hai nairangi-e-ayyam pe hairan ab tak
itni si baat bhi malum nahin bhai ko