اردو हिंदी
Gulzar mein wo rut bhi kabhi aa ke rahegi | Shaahi Shayari
gulzar mein wo rut bhi kabhi aa ke rahegi

Ghazal

Gulzar mein wo rut bhi kabhi aa ke rahegi

Sharif kunjahi

;

gulzar mein wo rut bhi kabhi aa ke rahegi
jab koi kali jaur KHizan ke na sahegi

insan se nafrat ke sharar bujh ke rahenge
sadiyon ki ye diwar kisi din to Dhahegi

jis bap ne aulad ki bahbud na sochi
us bap ko aulad ayan hai jo kahegi

tu june ki garmi se na ghabra ki jahan mein
ye lu to hamesha na rahi hai na rahegi

puKHta tera aiwan ki mera kachcha makan hai
sailab 'sharif' aaya to har chiz bahegi