اردو हिंदी
Go zara si baat par barson ke yarane gae | Shaahi Shayari
go zara si baat par barson ke yarane gae

Ghazal

Go zara si baat par barson ke yarane gae

Khatir Ghaznavi

;

go zara si baat par barson ke yarane gae
lekin itna to hua kuchh log pahchane gae

garmi-e-mahfil faqat ek nara-e-mastana hai
aur wo KHush hain ki is mahfil se diwane gae

main ise shohrat kahun ya apni ruswai kahun
mujh se pahle us gali mein mere afsane gae

wahshaten kuchh is tarah apna muqaddar ban gain
hum jahan pahunche hamare sath virane gae

yun to wo meri rag-e-jaan se bhi the nazdik-tar
aansuon ki dhund mein lekin na pahchane gae

ab bhi un yaadon ki KHushbu zehn mein mahfuz hai
bar-ha hum jin se gulzaron ko mahkane gae

kya qayamat hai ki 'KHatir' kushta-e-shab the bhi hum
subh bhi aai to mujrim hum hi gardane gae