اردو हिंदी
Gira to gir ke sar-e-KHak-e-ibtizal aaya | Shaahi Shayari
gira to gir ke sar-e-KHak-e-ibtizal aaya

Ghazal

Gira to gir ke sar-e-KHak-e-ibtizal aaya

Afzal Ahmad Syed

;

gira to gir ke sar-e-KHak-e-ibtizal aaya
main tegh-e-tez tha lekin mujhe zawal aaya

ajab hua ki sitara-shanas se mil kar
shikast-e-anjum-e-nau-KHez ka KHayal aaya

main KHak-e-sard pe soya to mere pahlu mein
phir ek KHwab-e-shikast aaina-misal aaya

kaman-e-shaKH se gul kis hadaf ko jate hain
nasheb-e-KHak mein ja kar mujhe KHayal aaya

koi nahin tha magar sahil-e-tamanna par
hawa-e-sham mein jab rang-e-indimal aaya

yahi hai wasl dil-e-kam-muamla ke liye
ki aaine mein wo KHurshid-e-KHadd-o-KHal aaya