اردو हिंदी
Garmi-e-shauq-e-nazara ka asar to dekho | Shaahi Shayari
garmi-e-shauq-e-nazara ka asar to dekho

Ghazal

Garmi-e-shauq-e-nazara ka asar to dekho

Faiz Ahmad Faiz

;

garmi-e-shauq-e-nazara ka asar to dekho
gul khile jate hain wo saya-e-tar to dekho

aise nadan bhi na the jaan se guzarne wale
naseho pand-garo rahguzar to dekho

wo to wo hai tumhein ho jaegi ulfat mujh se
ek nazar tum mere mahbub-e-nazar to dekho

wo jo ab chaak gareban bhi nahin karte hain
dekhne walo kabhi un ka jigar to dekho

daman-e-dard ko gulzar bana rakkha hai
aao ek din dil-e-pur-KHun ka hunar to dekho

subh ki tarah jhamakta hai shab-e-gham ka ufuq
'faiz' tabindagi-e-dida-e-tar to dekho