اردو हिंदी
Ganw ki aankh se basti ki nazar se dekha | Shaahi Shayari
ganw ki aankh se basti ki nazar se dekha

Ghazal

Ganw ki aankh se basti ki nazar se dekha

Asad Badayuni

;

ganw ki aankh se basti ki nazar se dekha
ek hi rang hai duniya ko jidhar se dekha

hum se ai husn ada kab tera haq ho paya
aankh bhar tujh ko buzurgon ke na Dar se dekha

apni banhon ki tarah mujh ko lagin sab shaKHen
chand uljha hua jis raat shajar se dekha

hum kisi jang mein shamil na hue bas hum ne
har tamashe ko faqat rahguzar se dekha

har chamakte hue manzar se rahe hum naraaz
sare chehron ko sada dida-e-tar se dekha

phul se bachchon ke shanon pe the bhaari baste
hum ne school ko dushman ki nazar se dekha