اردو हिंदी
Do umron ki rui dhun kar aaya hun | Shaahi Shayari
do umron ki rui dhun kar aaya hun

Ghazal

Do umron ki rui dhun kar aaya hun

Iliyas Babar Aawan

;

do umron ki rui dhun kar aaya hun
main pardes se KHud ko bun kar aaya hun

dariya se yari bhi kitni mushkil hai
main kashti ke TukDe chun kar aaya hun

tum ko kitna shauq hai phone pe baaton ka
aaj bhi boss ki baaten sun kar aaya hun

jaane kaun chura leta tha mera waqt
wall-clock pe jala ban kar aaya hun

aaj ki sham guzarenge hum chhatri mein
barish hogi KHabren sun kar aaya hun

dost ko samjhane ki KHatir aaya tha
anjaane mein KHud ko Tun kar aaya hun