اردو हिंदी
Din mein pariyan kyun aati hain | Shaahi Shayari
din mein pariyan kyun aati hain

Ghazal

Din mein pariyan kyun aati hain

Mohammad Alvi

;

din mein pariyan kyun aati hain
aisi ghaDiyan kyun aati hain

apna ghar aane se pahle
itni galiyan kyun aati hain

bahar kis ka Dar lagta hai
ghar mein chiDiyan kyun aati hain

din kyun nange ho jate hain
raaten uryan kyun aati hain

sher mein ulTi sidhi baaten
bol meri jaan kyun aati hain

'alwi' qabron tak jaane mein
bhul-bhulayyan kyun aati hain