اردو हिंदी
Dil pareshan ho magar aankh mein hairani na ho | Shaahi Shayari
dil pareshan ho magar aankh mein hairani na ho

Ghazal

Dil pareshan ho magar aankh mein hairani na ho

Shahryar

;

dil pareshan ho magar aankh mein hairani na ho
KHwab dekho ki haqiqat se pashemani na ho

kya hua ahl-e-junun ko ki dua mangte hain
shahr mein shor na ho dasht mein virani na ho

DhunDte DhunDte sab thak gae lekin na mila
ek ufuq aisa ki jo dhund ka zindani na ho

gham ki daulat baDi mushkil se mila karti hai
saunp do hum ko agar tum se nigahbani na ho

nafraton ka wahi malbus pahan lo phir se
ain mumkin hai ye duniya tumhein pahchani na ho