اردو हिंदी
Dil jalwa-gah-e-surat-e-jaanana ho gaya | Shaahi Shayari
dil jalwa-gah-e-surat-e-jaanana ho gaya

Ghazal

Dil jalwa-gah-e-surat-e-jaanana ho gaya

Shah Naseer

;

dil jalwa-gah-e-surat-e-jaanana ho gaya
shisha ye ek dam mein pari-KHana ho gaya

shab kyun ki saltanat na kare taj-e-zar se shama
rashk-e-par-e-huma par-e-parwana ho gaya

kaifiyyaton se gardish-e-chashm-e-butan ki dil
shisha kabhi bana kabhi paimana ho gaya

tughyani-e-sarishk se apni bhi baad-e-qais
dariya ka paT daman-e-virana ho gaya

zanjir kyun na us ki qadam-bos ho bhala
jo koi tere ishq mein diwana ho gaya

yan tak kiya hai shohra-e-afaq ishq ne
qissa mera bhi KHalq mein afsana ho gaya

kya roiye KHarabi-e-iqlim-e-dil ko dekh
aankhon ke dekhte hi to kya kya na ho gaya

saqi kidhar phire hai tu tanha ba-rang-e-jam
tujh bin KHarab in dinon mai-KHana ho gaya

aankhon se tujh ko yaad main karta hun roz-o-shab
be-did mujh se kis liye begana ho gaya

bawar nahin to ashk-e-musalsal ko dekh le
dast-e-mizha mein subha-e-sad-dana ho gaya

kahte hain us ke silsila-e-zulf mein 'nasir'
dil bhi murid ab sifat-e-shana ho gaya