اردو हिंदी
Chamakte chand se chehron ke manzar se nikal aae | Shaahi Shayari
chamakte chand se chehron ke manzar se nikal aae

Ghazal

Chamakte chand se chehron ke manzar se nikal aae

Fuzail Jafri

;

chamakte chand se chehron ke manzar se nikal aae
KHuda hafiz kaha bosa liya ghar se nikal aae

ye sach hai hum ko bhi khone paDe kuchh KHwab kuchh rishte
KHushi is ki hai lekin halqa-e-shar se nikal aae

agar sab sone wale mard aurat pak-tinat the
to itne jaanwar kis tarah bistar se nikal aae

dikhai de na de lekin haqiqat phir haqiqat hai
andhere raushni ban kar samundar se nikal aae