اردو हिंदी
Chandni raat mein har dard sanwar jata hai | Shaahi Shayari
chandni raat mein har dard sanwar jata hai

Ghazal

Chandni raat mein har dard sanwar jata hai

Abdullah Javed

;

chandni raat mein har dard sanwar jata hai
jaane kya kya sar-e-ehsas bikhar jata hai

dekhte hum bhi hain kuchh KHwab magar hae re dil
har nae KHwab ki tabir se Dar jata hai

maut ka waqt muayyan hai to phir baat hai kya
kaun hai mujh mein jo har sans pe mar jata hai

dil mein gaD jati hai jab saat-e-mazi ki salib
waqt ruk jata hai insan guzar jata hai