اردو हिंदी
Chand is ghar ke darichon ke barabar aaya | Shaahi Shayari
chand is ghar ke darichon ke barabar aaya

Ghazal

Chand is ghar ke darichon ke barabar aaya

Ahmad Mushtaq

;

chand us ghar ke darichon ke barabar aaya
dil-e-mushtaq Thahar ja wahi manzar aaya

main bahut KHush tha kaDi dhup ke sannaTe mein
kyun teri yaad ka baadal mere sar par aaya

bujh gai raunaq-e-parwana to mahfil chamki
so gae ahl-e-tamanna to sitamgar aaya

yar sab jama hue raat ki KHamoshi mein
koi ro kar to koi baal bana kar aaya