اردو हिंदी
Bulbul to bahut hain gul-e-rana nahin koi | Shaahi Shayari
bulbul to bahut hain gul-e-rana nahin koi

Ghazal

Bulbul to bahut hain gul-e-rana nahin koi

Lala Madhav Ram Jauhar

;

bulbul to bahut hain gul-e-rana nahin koi
bimar hazaron hain masiha nahin koi

kaam aae bure waqt mein aisa nahin koi
tum kya ho zamane mein kisi ka nahin koi

hum ishq mein hain fard to tum husn mein yakta
hum sa bhi nahin ek jo tum sa nahin koi

tum kya karo qismat hi agar apni buri ho
taqdir ke likkhe ko miTata nahin koi