اردو हिंदी
Band aankhen karun aur KHwab tumhaare dekhun | Shaahi Shayari
band aankhen karun aur KHwab tumhaare dekhun

Ghazal

Band aankhen karun aur KHwab tumhaare dekhun

Sahiba Sheheryar

;

band aankhen karun aur KHwab tumhaare dekhun
tapti garmi mein bhi wadi ke nazare dekhun

os se bhigi hui subah ko chhu lun jab main
apni palkon pe main ashkon ke sitare dekhun

ab to har gam pe sahra-o-bayaban mein bhi
apni wadi ke hi sadqe mein nazare dekhun

main kahin bhi rahun jannat to meri wadi hai
chand taron ke paDe us pe mein sae dekhun

mujh ko chhu jati hai aa kar jo kabhi subah teri
har taraf phulon ke dilchasp nazare dekhun