اردو हिंदी
Bana gulab to kanTe chubha gaya ek shaKHs | Shaahi Shayari
bana gulab to kanTe chubha gaya ek shaKHs

Ghazal

Bana gulab to kanTe chubha gaya ek shaKHs

Obaidullah Aleem

;

bana gulab to kanTe chubha gaya ek shaKHs
hua charagh to ghar hi jala gaya ek shaKHs

tamam rang mere aur sare KHwab mere
fasana the ki fasana bana gaya ek shaKHs

main kis hawa mein uDun kis faza mein lahraun
dukhon ke jal har ek su bichha gaya ek shaKHs

palaT sakun hi na aage hi baDh sakun jis par
mujhe ye kaun se raste laga gaya ek shaKHs

mohabbaten bhi ajab us ki nafraten bhi kamal
meri hi tarah ka mujh mein sama gaya ek shaKHs

mohabbaton ne kisi ki bhula rakha tha use
mile wo zaKHm ki phir yaad aa gaya ek shaKHs

khula ye raaz ki aaina-KHana hai duniya
aur us mein mujh ko tamasha bana gaya ek shaKHs