اردو हिंदी
Bahut na hausala-e-izz-o-jah mujhse hua | Shaahi Shayari
bahut na hausala-e-izz-o-jah mujhse hua

Ghazal

Bahut na hausala-e-izz-o-jah mujhse hua

Afzal Ahmad Syed

;

bahut na hausala-e-izz-o-jah mujh se hua
faqat faraaz-e-nagin-o-nigah mujh se hua

charagh-e-shab ne mujhe apne KHwab mein dekha
sitara-e-sahari KHush-nigah mujh se hua

giraft-e-kuza se ek KHak meri samt baDhi
saf-e-sarab koi sadd-e-rah mujh se hua

shab-e-fasana-o-farsang us se mil aaya
jo mawara-e-safed-o-siyah mujh se hua

sar-e-gurez-o-guman us ne imtihan liya
jo ham-kanar mera kam-nigah mujh se hua

Kaman-e-KHana-e-aflak ke muqabil bhi
main us se aur wo phir kaj-kulah mujh se hua

jo sail-e-hijrat-e-gul tha mere qadam se ruka
kamand lamha-e-sad-ishtibah mujh se hua

niyam-zad na hui mujh se tegh-e-hairani
shikaste-e-aina-e-intibah mujh se hua