اردو हिंदी
Bahut kam bolna ab kar diya hai | Shaahi Shayari
bahut kam bolna ab kar diya hai

Ghazal

Bahut kam bolna ab kar diya hai

Shams Tabrezi

;

bahut kam bolna ab kar diya hai
kai mauqon pe ghussa bhi piya hai

tum hum se puchhte ho kya ki hum ne
bahut sa kaam nazron se liya hai

bahut garmi paDi ab ke baras bhi
may aur june mushkil mein jiya hai

rafu aanchal pe tere hai to sun le
gareban chaak hum ne bhi siya hai

tumhaari guftugu batla rahi hai
kisi se ishq tum ne bhi kiya hai

bahut shir-o-shakar hain hum adab mein
to shams' hum mein koi kya mafiya hai