اردو हिंदी
Bahsen chhiDi hui hain hayat-o-mamat ki | Shaahi Shayari
bahsen chhiDi hui hain hayat-o-mamat ki

Ghazal

Bahsen chhiDi hui hain hayat-o-mamat ki

Firaq Gorakhpuri

;

bahsen chhiDi hui hain hayat-o-mamat ki
sau baat ban gai hai 'firaq' ek baat ki

saz-nawa-e-dard hijabaat-e-dahr mein
kitni dukhi hui hain ragen kaenat ki

rakh li jinhon ne kashmakash-e-zindagi ki laj
be-dardiyan na puchhiye un se hayat ki

yun fart-e-be-KHudi se mohabbat mein jaan de
tujh ko bhi kuchh KHabar na ho is wardat ki

hai ishq us tabassum-e-jaan-baKHsh ka shahid
ranginiyan liye hai jo subh-e-hayat ki

chheDa hai dard-e-ishq ne tar-e-rag-e-adam
surat pakaD chali hain nawaen hayat ki

sham-e-abad ko jalwa-e-subh-e-bahaar de
rudad chheD zindagi-e-be-sabaat ki

us bazm-e-be-KHudi mein wajud-e-adam kahan
chalti nahin hai sans hayat-o-mamat ki

sau dard ek tabassum-e-pinhan mein band hain
taswir hun 'firaq' nashat-e-hayat ki