badan ke luqma-e-tar ko haram kar liya hai
ki KHwan-e-ruh pe jab se taam kar liya hai
batao uDti hai bazar-e-jaan mein KHak bahut
batao kya hamein apna ghulam kar liya hai
ye aastana-e-hasrat hai hum bhi jaante hain
diya jala diya hai aur salam kar liya hai
makan ujaD tha aur la-makan ki KHwahish thi
so apne aap se bahar qayam kar liya hai
bas ab tamam ho ye wahm o e'tibar ka khel
bisat ulaT di sabhi sara kaam kar liya hai
kisi se KHwahish-e-guftar thi magar 'saqib'
wufur-e-shauq mein KHud se kalam kar liya hai
Ghazal
Badan ke luqma-e-tar ko haram kar liya hai
Amir Hamza Saqib