اردو हिंदी
Baat karne ki shab-e-wasl ijazat de do | Shaahi Shayari
baat karne ki shab-e-wasl ijazat de do

Ghazal

Baat karne ki shab-e-wasl ijazat de do

Bekhud Dehlvi

;

baat karne ki shab-e-wasl ijazat de do
mujh ko dam bhar ke liye ghair ki qismat de do

tum ko ulfat nahin mujh se ye kaha tha main ne
hans ke farmate hain tum apni mohabbat de do

hum hi chuke sahar-e-wasl manana hi na tha
ab hai ye hukm ki jaane ki ijazat de do

muft lete bhi nahin pher ke dete bhi nahin
yun sahi KHair ki dil ki hamein qimat de do

kam nahin pir-e-KHarabaat-nashin se 'beKHud'
mai-kasho to use mai-KHane ki KHidmat de do