اردو हिंदी
Barha ThiThka hun KHud bhi apna saya dekh kar | Shaahi Shayari
barha ThiThka hun KHud bhi apna saya dekh kar

Ghazal

Barha ThiThka hun KHud bhi apna saya dekh kar

Akhtar Hoshiyarpuri

;

barha ThiThka hun KHud bhi apna saya dekh kar
log bhi katrae kya kya mujh ko tanha dekh kar

mujh ko is ka gham nahin sailab mein ghar bah gae
muskuraya hun main be-mausam ki barkha dekh kar

ret ki diwar mein shamil hai KHun-e-zist bhi
ai hawao soch kar ai mauj-e-dariya dekh kar

apne hathon apni aankhen band karni paD gain
nighat-e-gul ke jilau mein gard-e-sahra dekh kar

mere chehre par KHarashen hain lakiren hath ki
meri qismat paDhne wale mera chehra dekh kar