اردو हिंदी
Bahar bahar sannaTa hai andar andar shor bahut | Shaahi Shayari
bahar bahar sannaTa hai andar andar shor bahut

Ghazal

Bahar bahar sannaTa hai andar andar shor bahut

Umar Ansari

;

bahar bahar sannaTa hai andar andar shor bahut
dil ki ghani basti mein yaro aan base hain chor bahut

yaad ab us ki aa na sakegi soch ke ye baiThe the ki bas
khul gae dil ke sare dariche tha jo hawa ka zor bahut

maujen hi patwar banengi tufan par lagaega
dariya ke hain bas do sahil kashti ke hain chhor bahut

main bhi apni jhonk mein tha kuchh wo bhi apne zoam mein tha
hoti bhi hai kuchh mere yaro pyar ki kuchh Dor bahut

fasl-e-KHizan to sah li lekin mausam-e-gul mein TuT giri
bojh phalon ka sah nahin pai shaKH ki thi kamzor bahut

dil se uTha tufan ye kaisa sare manzar Dub gae
warna abhi to is jangal mein nach rahe the mor bahut

barson baad mila hai mauqa aao laga len kashti par
aaj to yaro sannaTa hai dariya ke us or bahut

aaj yaqinan meinh barsega aaj giregi barq zarur
ankhiyan bhi pur-shor bahut hain kajra bhi ghanghor bahut

kis se kis ka sathi chhuTa kis ka 'umar' kya haal hua
parbat parbat wadi wadi raat macha tha shor bahut