اردو हिंदी
Ba-tasKHir-e-butan tasbih kyun zahid phiraate hain | Shaahi Shayari
ba-tasKHir-e-butan tasbih kyun zahid phiraate hain

Ghazal

Ba-tasKHir-e-butan tasbih kyun zahid phiraate hain

Waliullah Muhib

;

ba-tasKHir-e-butan tasbih kyun zahid phiraate hain
ye lohe ke chane wallah aashiq hi chabaate hain

bani hai jun guhar-surat suKHan ki ahl-e-mani se
ye nadan kahne sunne ko abas baaten banate hain

sada se ishq ki lai bhar rahi hai jin ke kanon mein
wo kab sunte hain ye naseh jo apna rag gate hain

bahaar aai na chhuTe hum qafas se ham-safir apne
chaman mein chahchahe karte hain aur dhumen machate hain

KHuda se dosti teri magar hum ko mila degi
sanam na-haq tere hum roz naktonDe uThate hain

koi kaisa hi ruTha ho bula lete hain ek pal mein
ye zalim KHub-ru sammukh ho jab aankhen laDate hain

saba kis gul ke aane ki KHushi aisi hai gulshan mein
ki gul jame mein aaj apne nahin phule samate hain

hansate hain tujhe sakin chaman ke kis KHushamad se
ki bulbul hai ghazal-KHwan chuTkiyan ghunche bajate hain

hum apne dil ki haalat kya kahen bin maut marte hain
tujhe Tuk dekh lete hain to goya jaan pate hain

gareban ka hamare naseha mauquf kar sina
ki hum sine ka apne zaKHm-e-kari kab silate hain

ummid aane ki us ayyar ke hum ko nahin hargiz
KHayal-e-KHam par apni abas chhati pakate hain

tamasha shaiKH ji ke haal ka hai tohfa majlis mein
zanburi hain murid aur chauk mein bandar nachate hain

hum aisi goliyan kachchi nahin khele hain ye laDke
jo chuTiyale hue hain Tip-Tap un ko dikhate hain

dilon ke aaine ab ban gae hain sang-o-ahan ke
ki mil kar ji mein jagah den bichhaD kar bhul jate hain

bahut mare gae wan aur bahut zaKHmi hue tis par
'muhib' kuche mein us ke aaj hum phir dil jalate hain