اردو हिंदी
Ba-roz-e-hashr mere sath dil-lagi hi to hai | Shaahi Shayari
ba-roz-e-hashr mere sath dil-lagi hi to hai

Ghazal

Ba-roz-e-hashr mere sath dil-lagi hi to hai

Farooq Banspari

;

ba-roz-e-hashr mere sath dil-lagi hi to hai
ki jaise baat koi aap se chhupi hi to hai

na chheDo baada-kasho mai-kade mein waiz ko
bahak ke aa gaya bechaara aadmi hi to hai

qusur ho gaya qadmon pe loT jaane ka
bura na maniye sarkar be-KHudi hi to hai

riyaz-e-KHuld ka itna baDha chaDha ke bayan
ki jaise wo mere mahbub ki gali hi to hai

yaqin mujhe bhi hai wo aaenge zarur magar
wafa karegi kahan tak ki zindagi hi to hai

mere baghair andhera tumhein sataega
sahar ko sham bana degi aashiqi hi to hai

ba-chashm-e-nam teri dargah se gaya 'faruq'
KHata muaf ki ye banda-parwari hi to hai