اردو हिंदी
Apni taqdir ka shikwa nahin likhkha maine | Shaahi Shayari
apni taqdir ka shikwa nahin likhkha maine

Ghazal

Apni taqdir ka shikwa nahin likhkha maine

Hamid Mukhtar Hamid

;

apni taqdir ka shikwa nahin likhkha main ne
KHud ko mahrum-e-tamanna nahin likhkha main ne

ai qalam karna mere hath ki laghzish ko muaf
tujh se shahon ka qasida nahin likhkha main ne

gir na jae tere meyar se andaz-e-huruf
yun kabhi nam bhi tera nahin likhkha main ne

hun isi jurm ki padash mein pyasa shayad
tapte sahraon ko dariya nahin likhkha main ne

aaj ka KHat hi use bheja hai kora lekin
aaj ka KHat hi adhura nahin likhkha main ne

jo na pahchan saka waqt ki nabzen 'hamid'
us masiha ko masiha nahin likhkha main ne