اردو हिंदी
Aise hijr ke mausam kab kab aate hain | Shaahi Shayari
aise hijr ke mausam kab kab aate hain

Ghazal

Aise hijr ke mausam kab kab aate hain

Shahryar

;

aise hijr ke mausam kab kab aate hain
tere alawa yaad hamein sab aate hain

jagti aankhon se bhi dekho duniya ko
KHwabon ka kya hai wo har shab aate hain

jazb kare kyun ret hamari ashkon ko
tera daman tar karne ab aate hain

ab wo safar ki tab nahin baqi warna
hum ko bulawe dasht se jab tab aate hain

kaghaz ki kashti mein dariya par kiya
dekho hum ko kya kya kartab aate hain