اردو हिंदी
Aisa KHamosh to manzar na fana ka hota | Shaahi Shayari
aisa KHamosh to manzar na fana ka hota

Ghazal

Aisa KHamosh to manzar na fana ka hota

Gulzar

;

aisa KHamosh to manzar na fana ka hota
meri taswir bhi girti to chhanaka hota

yun bhi ek bar to hota ki samundar bahta
koi ehsas to dariya ki ana ka hota

sans mausam ki bhi kuchh der ko chalne lagti
koi jhonka teri palkon ki hawa ka hota

kanch ke par tere hath nazar aate hain
kash KHushbu ki tarah rang hina ka hota

kyun meri shakl pahan leta hai chhupne ke liye
ek chehra koi apna bhi KHuda ka hota