اردو हिंदी
Ai shab-e-hijr ab mujhe subh-e-visal chahiye | Shaahi Shayari
ai shab-e-hijr ab mujhe subh-e-visal chahiye

Ghazal

Ai shab-e-hijr ab mujhe subh-e-visal chahiye

Saleem Kausar

;

ai shab-e-hijr ab mujhe subh-e-visal chahiye
taza ghazal ke waste taza KHayal chahiye

ai mere chaara-gar tere bas mein nahin moamla
surat-e-haal ke liye waqif-e-haal chahiye

ahl-e-KHirad ko aaj bhi apne yaqin ke liye
jis ki misal hi nahin us ki misal chahiye

us ki rafaqaton ka hijr jheliye kab talak 'salim'
apni tarah se ab mujhe wo bhi niDhaal chahiye