اردو हिंदी
Ab to ghabra ke ye kahte hain ki mar jaenge | Shaahi Shayari
ab to ghabra ke ye kahte hain ki mar jaenge

Ghazal

Ab to ghabra ke ye kahte hain ki mar jaenge

Sheikh Ibrahim Zauq

;

ab to ghabra ke ye kahte hain ki mar jaenge
mar ke bhi chain na paya to kidhar jaenge

being agitated I express the hope to die, although
in death, if solace is not found, then where shall I go?

tum ne Thahrai agar ghair ke ghar jaane ki
to irade yahan kuchh aur Thahar jaenge

if you are thus resolved to go to my rival's house
my cause with greater ardor for sure I will espouse

KHali ai chaaragaro honge bahut marham-dan
par mere zaKHm nahin aise ki bhar jaenge

O healers, all your potions, balms, may now be at an end
but still my wounds are not the sort that one can ever mend

pahunchenge rahguzar-e-yar talak kyun kar hum
pahle jab tak na do aalam se guzar jaenge

the path to my beloved's street how can I ever find
Untll I traverse the course of both the worlds combined

shola-e-ah ko bijli ki tarah chamkaun
par mujhe Dar hai ki wo dekh ke Dar jaenge

like lightning I would brighten the flame that is my sigh
but then I am afraid that she, in fear would start to cry

hum nahin wo jo karen KHun ka dawa tujh par
balki puchhega KHuda bhi to mukar jaenge

I am not one of those who will you of murder accuse
even if God would seek to know, I'd blatantly refuse

aag dozaKH ki bhi ho jaegi pani pani
jab ye aasi araq-e-sharm se tar jaenge

even the blazing, roaring flames of hell will then be quenched
when these offenders there arrive in sweat of shame all drenched

nahin paega nishan koi hamara hargiz
hum jahan se rawish-e-tir-e-nazar jaenge

none will ever find the slightest trace of me perchance
I will leave this world just like the arrow of a glance

samne chashm-e-guhar-bar ke kah do dariya
chaDh ke gar aae to nazron se utar jaenge

zauq, by madrasas misled mullahs have gone astray
bring them to the tavern and they will find their way

lae jo mast hain turbat pe gulabi aankhen
aur agar kuchh nahin do phul to dhar jaenge

ruKH-e-raushan se naqab apne ulaT dekho tum
mehr-o-mah nazron se yaron ki utar jaenge

hum bhi dekhenge koi ahl-e-nazar hai ki nahin
yan se jab hum rawish-e-tir-e-nazar jaenge

'zauq' jo madrase ke bigDe hue hain mulla
un ko mai-KHane mein le aao sanwar jaenge