اردو हिंदी
Ab shauq se ki jaan se guzar jaana chahiye | Shaahi Shayari
ab shauq se ki jaan se guzar jaana chahiye

Ghazal

Ab shauq se ki jaan se guzar jaana chahiye

Ahmad Faraz

;

ab shauq se ki jaan se guzar jaana chahiye
bol ai hawa-e-shahr kidhar jaana chahiye

kab tak isi ko aaKHiri manzil kahenge hum
ku-e-murad se bhi udhar jaana chahiye

wo waqt aa gaya hai ki sahil ko chhoD kar
gahre samundaron mein utar jaana chahiye

ab raftagan ki baat nahin karwan ki hai
jis samt bhi ho gard-e-safar jaana chahiye

kuchh to subut-e-KHun-e-tamanna kahin mile
hai dil tahi to aankh ko bhar jaana chahiye

ya apni KHwahishon ko muqaddas na jaante
ya KHwahishon ke sath hi mar jaana chahiye