اردو हिंदी
Aarzu thi ye bikheren apni kirnen subh tak | Shaahi Shayari
aarzu thi ye bikheren apni kirnen subh tak

Ghazal

Aarzu thi ye bikheren apni kirnen subh tak

Anwar Sadeed

;

aarzu thi ye bikheren apni kirnen subh tak
rote rote bujh gai hain sari shamen subh tak

shab ki muTThi mein parindon ki tarah wo so gain
ho gain zinda hatheli par lakiren subh tak

waqt ki guzri ibarat ki tilawat ke liye
raat ki tanhaiyon mein aao ghumen subh tak

din ka suraj un pe likkhega anokhe tabsire
hum ne jo talif kin dil par kitaben subh tak

zindagi ke raston mein jo kahin gum ho gae
DhunDti ab un ko hain KHwabon mein aankhen subh tak

aashiyanon mein na jab lauTe parinde to 'sadid'
dur tak takti rahin shaKHon mein aankhen subh tak