اردو हिंदी
Aap ki hasti mein hi mastur ho jata hun main | Shaahi Shayari
aap ki hasti mein hi mastur ho jata hun main

Ghazal

Aap ki hasti mein hi mastur ho jata hun main

Aatish Bahawalpuri

;

aap ki hasti mein hi mastur ho jata hun main
jab qarib aate ho KHud se dur ho jata hun main

dar par chaDh kar kabhi mansur ho jata hun main
tur par ja kar kalim-e-tur ho jata hun main

yun kisi se apne gham ki dastan kahta nahin
puchhte hain wo to phir majbur ho jata hun main

apni fitrat kya kahun apni tabiat kya kahun?
dusron ke gham mein bhi ranjur ho jata hun main

mujh ko 'atish' baada-o-saghar se ho kya wasta?
un ki aankhen dekh kar maKHmur ho jata hun main