اردو हिंदी
Aankhon mein ashk bhar ke mujhse nazar mila ke | Shaahi Shayari
aankhon mein ashk bhar ke mujhse nazar mila ke

Ghazal

Aankhon mein ashk bhar ke mujhse nazar mila ke

Ali Jawwad Zaidi

;

aankhon mein ashk bhar ke mujh se nazar mila ke
nichi nigah uTThi fitne nae jaga ke

main rag chheDta hun ima-e-husn pa ke
dekho to meri jaanib ek bar muskura ke

duniya-e-maslahat ke ye band kya thamenge
baDh jaega zamana tufan nae uTha ke

jab chheDti hain un ko gumnam aarzuen
wo mujh ko dekhte hain meri nazar bacha ke

didar ki tamanna kal raat rakh rahi thi
KHwabon ki rah-guzar mein shamen jala jala ke

duri ne lakh jalwe taKHliq kar liye the
phir dur ho gae hum tere qarib aa ke

sham-e-firaq aisa mahsus ho raha hai
har ek shai ganwa di har ek shai ko pa ke

aai hai yaad jin ki tufan-e-dard ban ke
wo zaKHm main ne aksar khae hain muskura ke

meri nigah-e-gham mein shikwe hi sab nahin hain
ek bar idhar to dekho nichi nazar uTha ke

ye dushmani hai saqi ya dosti hai saqi
auron ko jam dena mujh ko dikha dikha ke

dil ke qarib shayad tufan uTh rahe hon
dekho to sher 'zaidi' ek roz gunguna ke