اردو हिंदी
Aaj sauda-e-mohabbat ki ye arzani hai | Shaahi Shayari
aaj sauda-e-mohabbat ki ye arzani hai

Ghazal

Aaj sauda-e-mohabbat ki ye arzani hai

Hanson Rehani

;

aaj sauda-e-mohabbat ki ye arzani hai
kaam be-kar jawanon ka ghazal-KHwani hai

gham ki takmil ka saman hua hai paida
laiq-e-faKHr meri be-sar-o-samani hai

sang o aahan to bane aaine un ki KHatir
dil na aaina bana saKHt ye hairani hai

mujh se is darja KHafa kyun ho koi parda-nashin
aarzu did ki jab fitrat-e-insani hai

faisla dil ka mohabbat mein hai rahbar apna
fikr kiya manzil-e-jaanan agar anjaani hai

wo karen ya na karen apni jafa se tauba
mere dil ko magar ehsas-e-peshemani hai