اردو हिंदी
Aa raha hai mere guman mein kya | Shaahi Shayari
aa raha hai mere guman mein kya

Ghazal

Aa raha hai mere guman mein kya

Khalida Uzma

;

aa raha hai mere guman mein kya
koi rahta tha is makan mein kya

wo tapish hai ki jal uThe sae
dhup rakkhi thi saeban mein kya

ek teri did ki tamanna hai
aur rakkha hai is jahan mein kya

kya hamesha hi aisa hota hai
moD aata hai darmiyan mein kya

ki mere baad qatl se tauba
aaKHiri tir tha kaman mein kya

gungi bahri basaraton ke liye
KHwab likkhe the imtihan mein kya

kya sukun ki talash hai sab ko
ek halchal si hai jahan mein kya

ret si uD rahi hai kyun 'uzma'
lag gaya ghun kisi chaTan mein kya