اردو हिंदी
Romantic Shayari | Shaahi Shayari

Romantic

67 Shers

log kahte hain ki tu ab bhi KHafa hai mujh se
teri aankhon ne to kuchh aur kaha hai mujh se

Jaan Nisar Akhtar




yaro kuchh to zikr karo tum us ki qayamat banhon ka
wo jo simaTte honge un mein wo to mar jate honge

Jaun Eliya




ek chehra hai jo aankhon mein basa rahta hai
ek tasawwur hai jo tanha nahin hone deta

Javed Naseemi




mujhe tanhai ki aadat hai meri baat chhoDen
ye lije aap ka ghar aa gaya hai hat chhoDen

Javed Saba




us ne aanchal se nikali meri gum-gashta bayaz
aur chupke se mohabbat ka waraq moD diya

Javed Saba




dil mein kisi ke rah kiye ja raha hun main
kitna hasin gunah kiye ja raha hun main

Jigar Moradabadi




dil ki choTon ne kabhi chain se rahne na diya
jab chali sard hawa main ne tujhe yaad kiya

Josh Malihabadi