اردو हिंदी
Ishq Shayari | Shaahi Shayari

Ishq

422 Shers

jis ki hawas ke waste duniya hui aziz
wapas hue to us ki mohabbat KHafa mili

Saqi Faruqi




asta de ki mohabbat mein badan shamil hai
main faqat ruh nahin hun mujhe halka na samajh

Saqi Faruqi




main chahta hun use aur chahne ke siwa
mere liye to koi aur rasta bhi nahin

Saud Usmani




visal-e-yar se duna hua ishq
maraz baDhta gaya jun jun dawa ki

Shad Lakhnavi




ishq ki ibtida to jaante hain
ishq ki intiha nahin malum

Shafiq Jaunpuri




shadid pyas thi phir bhi chhua na pani ko
main dekhta raha dariya teri rawani ko

Shahryar




yun teri yaad mein din raat magan rahta hun
dil dhDakna tere qadmon ki sada lagta hai

Shahzad Ahmad