mai bhi hotel mein piyo chanda bhi do masjid mein
shaiKH bhi KHush rahen shaitan bhi be-zar na ho
Akbar Allahabadi
marub ho gae hain wilayat se shaiKH-ji
ab sirf mana karte hain desi sharab ko
Akbar Allahabadi
qaum ke gham mein dinner khate hain hukkaam ke sath
ranj leader ko bahut hai magar aaram ke sath
Akbar Allahabadi
aqibon ne rapaT likhwai hai ja ja ke thane mein
ki 'akbar' nam leta hai KHuda ka is zamane mein
Akbar Allahabadi
shaiKH apni rag ko kya karen reshe ko kya karen
mazhab ke jhagDe chhoDen to peshe ko kya karen
Akbar Allahabadi
mili hai duKHtar-e-raz laD-jhagaD ke qazi se
jihad kar ke jo aurat mile haram nahin
Ameer Minai
pi lenge zara shaiKH to kuchh garm rahenge
ThanDa na kahin kar den ye jannat ki hawaen
Arsh Malsiyani