dhup nikli hai barishon ke baad
wo abhi ro ke muskurae hain
Anjum Ludhianvi
muskura kar dekh lete ho mujhe
is tarah kya haq ada ho jaega
Anwar Shuoor
yun muskurae jaan si kaliyon mein paD gai
yun lab-kusha hue ki gulistan bana diya
Asghar Gondvi
nahin itab-e-zamana KHitab ke qabil
tera jawab yahi hai ki muskurae ja
Hafeez Jalandhari
hamare ghar se jaana muskura kar phir ye farmana
tumhein meri qasam dekho meri raftar kaisi hai
Hasan Barelvi
itna roya hun gham-e-dost zara sa hans kar
muskuraate hue lamhat se ji Darta hai
Hasan Nayeem
mahfil mein log chaunk paDe mere nam par
tum muskura diye meri qimat yahi to hai
Hashim Raza Jalalpuri